“Jo bin maange sab mil jaaye, to chahat kaisi, Bina tujhse kahe jo mil jaaye, vo rahat kaise, Dastak ho teri aur ye Dil na dhadke, Tu pukare aur main na dekhu mud ke, Humne jo ki hai, fir Mohabbat kaisi”
“Kaise hai ye Dillagi, jo itna satati hai, Chahat meri sapne toote se dikhati hai, Kyu teri takleef se aankhe meri roti hai, Kyu tere har dard ki aah mujh mei bhi kahin hoti hai”
“Har baat jo hum keh kar bata de, tum alfaaz hi samjhoge…….. Jo batane hai tumhe, aankho mei chupe vo jazbbat kaise samjhoge….. Nadaan si hai ye yaari apni…….. Hum kuch bhi keh de, tum kya hi samjhoge”
"Bhagti zindgi mei, aaj fir guzre palo ki numaish hai Deedar se uske bhar le daaman, nazro ki farmaish hai Kya hisaab dega vo mere dard ka.... Rishta apna uss mukaam par hai......... Jahaan na sawaalo ki gunjaish, na jawaabo ki khwaish hai"
"Haqiqat meri uske liye afsana hai.......... Uski har nazar ka ye dil nishana hai......... Koi kya samjhaye iss nadan ko.............. Log kehte hain ye kal bhi deewana tha, ye aaj bhi deewana hai"